Baabarr movie song Lyrics

Movie Cast : Soham, Mithun Chakraborty, Urvashi Sharma, Om Puri, Sushant Singh, Mukesh Tiwari, Tinu Anand, Govind Namdeo, Shakti Kapoor, Vivek Shauq, Vishwajeet Pradhan
Music Composer : Anand Raj Anand
Lyric's Writter : NA
Movie Director : Ashu Trikha
Movie Producer : Mukesh Shah, Suniel S. Saini
Movie Release Year : 2009

Paagal Manava Tarase Re Lyrics

paagal manava tarase re, more mann ki khwaaish puri ho - (2)
aisa na din aaye koyi -2 jab tujhase mhaari duri ho
paagal manava tarase re, more mann ki khwaaish puri ho

balam teri akhiya kare batiya
balam teri akhiya akhiya kare batiya
balam teri akhiya kare batiya

tak tak haari main teri, tak tak haari main
tak tak haari kab teri akhiyon ki majburi ho
paagal manava tarase re, more mann ki khwaaish puri ho

rusawa ho yeh ya huye rusawaayi - (2)
tum mein hum mein dono mein -2 bi na koyi majburi ho
paagal manava tarase re, more mann ki khwaaish puri ho - (2)
aisa na din aaye koyi, aisa na din aaye

aisa na din aaye koyi -2 jab tujhase mhaari duri ho
paagal manava tarase re, more mann ki khwaaish puri ho

___________________________________________________________________

O Maula Yeh Bata Yeh Jindagi Hai Kya Lyircs

maula.....
yeh kis dagar pe chal padi hai jindagi

maula....aa aa aa....
yeh kis dagar pe chal padi hai jindagi
har taraf hai bebasi hi bebasi

ik pal nahin dil ko karaar, iss baadi mein jeet ke bhi hai haar
ke har saans mein ghum chhupa
o maula yeh bata yeh jindagi hai kya - (2)
maula ve maula ve maula maula ve.......

maula ve maula ve maula maula ve.......
ghum sine mein thehara hai, andhera aur bhi gehara hai
maula...
ghum sine mein thehara hai, andhera aur bhi gehara hai
saansein aati jaati hai lekin har saans pe pehara hai

na manjil ki hai khabar -2, na raahon ka hi hai pata
o maula yeh bata yeh jindagi hai kya - (2)

(Maula ve maula ve maula maula ve.......

abb jaayenge kaun se dar, phunk diya hai apana hi ghar) - (2)
rab jaane ke kamjor hoon main, ya ke main hoon taakatvar
na manjil ki hai khabar -2, na raahon ka hi hai pata
o maula yeh bata yeh jindagi hai kya - (2)
maula maula aa aa aa.......

(Zindagi ko meri koyi naam de de maula
de de abb koyi anjaam de de maula) - (2)
bigadi banaade meri bigadi banaade maula

sar hai jhukaaya tere naam se dikhaade mujhe raasta
o maula yeh bata yeh jindagi hai kya - (2)
___________________________________________________________________

Baje Raat Ke Baarah Lyrics

jogan pe joban aaya-2, mann preet ka bhaya pitaara
aur kahun main tumase kya, bas itana karun ishaara
ke ishq jage toh, ishq, ishq...

ishq jage toh aa jaiyo, jab baje raat ke baarah - (4)

galidaar kurta itrr karo ji, aankhon mein surama ai baabu manmauji -2
honto se utaarungi tumhaari najariya
gale se lagaayungi o re saawariya

raaja ji raaja ji
raaja ji raaja more raaja ji rehane na dungi main kawaara - (2)
ishq jage toh aa jaiyo, jab baje raat ke baarah - (2)

dekho ji dekhe na jaalim sipaiya, soyi hai angana mein jaage na maiya
dhheeme se aake darwajja hilaana, kholungi saajan bhitar chale aana
haule se haule se

haule se haule se uthaiyo re ghunghat mein chhupa hai angaara - (2)
ishq jage toh aa jaiyo, jab baje raat ke baarah - (2)

_____________________________________________________________________

Baabarr Lyrics

gali gali mein shor usaka, maashaah allaah rob jisaka
chal pade toh tufaan sa aa jaaye chhalkaara

gali gali mein shor usaka, maashaah allaah rob jisaka
chal pade toh tufaan sa aa jaaye chhalkaara
sharaara sharaara aankhein usaki sharaara

maula hi jaane usaki dagar, baabarr

baabarr baabarr baabarr baabarr
jumhi bada ahankaari darr jaave duniya saari
jivan ke jungle ka yeh ghaayal sher hai
jo dekhe woh ghabraaye, jo takare woh mar jaave
jisane lalkaara jungle ho gaya dher hai

sharaara sharaara aankhein usaki sharaara
maula hi jaane usaki dagar

baabarr baabarr
jhukana na usako aave rukana na usako aave
aa jaave chaahe raahon mein sau mushkilein
chattaan hai chattaan hai krodh ka uththaan hai
tedhe medhe raste usaki manjilein